Thursday, March 13, 2014

Bas tum!

Koi mujhse puche to kaise bataun tum mere liye kya ho,
In baadlon me tum,
In sitaron me tum ho,
Is chaand me tum ho,
Is suraj me tum ho,
In zamino me tum ho,
In aasmano me tum ho,
Pedo (Tree) me tum,
Pattiyon (leaf) me tum,
In deewaron me tum,
Meri baaton me tum,
Kya bataun tum mujhme kaise samayi ho,
Kaise bataun kis kadar mere dimag par chayi ho,
In hawaon me tum,
Udti pakshiyon me tum,
Foolon ko khushbu me tum,
Mere pahluon me tum,
Kaise bataun kis kadar tum mere dimag par chayi ho,
In jharno me tum,
Is behate paani me tum,
Khilti kaliyon me bhi tum ho,
Har ehsaas me tum,
Har jazbaat me tum,
Har awaaz me tum,
Bas is kadar mere dil par chayi ho jaise,
Sota hun to tum,
Jaagta hun to bas tum dikhayi aati ho,
Bas kami is baat ki TAQDEER tum nahi!

No comments:

Post a Comment