Wednesday, March 19, 2014

Unforgettable love!

Aaj teri yaad aayi hai mujhe,
To ye kalam ne bhi sath de diya,
Us din bhi isi haalat me tha,
Jis din tune mera hath chod diya,
Bhul paane ki koshishen naakam si ho rahi hai ab,
Dil meri manane ko taiyaar hi nai hota,
Bas aankhen nam ai ho jaati hai ab,
Ek jhunjhuni si uth jaati hai badan me jab vo halaat yaad aate hain,
Teri vo tasveer saamne aati hain,
Tere vo udhada hua badan,
Teri vo hothon pe hansi ki jagah khoon ke dhabbe,
Tera vo hamesha ke liye chup ho jaana,
Tera vo bina soche samjhe mujhe chod jaana,
Mera bas chup raha,
Ek aansu tak na baha paaya me,
Saari indriyan jaise chalna band ho gayi ho,
Dhadkane bas ruki ruki si chal rahi thi,
Aankhen bhi khulne se mana karne lagi thi,
Kuch soch samajh nai paa raha tha,
Bas akele hi apne raaste chale jaa raha tha,
Vo teri yaaden,
Teri baaten,
Tera itrana,
Teri hansi,
Teri aankhon ki nami,
Teri shararaten,
Teri badmaashi,
Tera gussa,
Tera pyaar,
Bas sab lekar akele chale jaa raha tha,
Bas kabhi ro hi nai paaya,
Shayad rone ki himmat tak khatm ho chuki thi,
Tera vo mera hath pakad titanic ke poses dena,
Tera meri aankhon me dekh mujhe uljha dena,
Tera mujhe teri zulfon ki khushbu se madhosh kar dena,
Tera mujhe teri god me sulakar pyaar dena,
Aur tera vo pyaar se mere baalon me hath ferna,
Ab kya bacha hai,
Bas main,
Akela,
Sab kuch kabhi kabhi khatam sa lagta hai,
Ek pal tujhe yaad kar,
Apne aap ko sambhal leta hun,
Chalti ka naam zindagi kehne waalon ko pyaar ka andaaza nai shayad,
Ek baar dil rakh dete kisi ke kadmo me to pata chalta, zinda mout si hai ye ZINDAGI!

No comments:

Post a Comment