What a girl want to say to her parents in the womb, when her parents decide killing her!
Maa,
Mujhe mat maro,
Me aapki saari baat maanungi,
Kabhi zidd nai karungi,
Kisi baat par aapko tang nai karungi,
Maa,
Papa se kehna meri padhai ke kharche ki chinta na kare,
Me bhaiyya ki kitabon se hi padh lungi,
Mere liye jaada naye naye kapde laane ki jarurat nai maa,
Me har baar apne purane kapdon me hi santusht rahungi,
Aur papa se kehna meri shaadi ki chinta na kare,
Me ache se padh likh kar,
Aapke aur papa ke budhape ka sahara banungi,
Maa bas mujhe maro mat,
Mujhe duniya me aane se mat roko,
Mujhe bahar ki khubsurati dekhne se vanchit na karo,
Mujhe khilne do,
Mujhe bas jeene do "Maa"
Mujhe bas jeene do! :)

No comments:
Post a Comment