Thursday, March 13, 2014

Childhood Life !


Kab aur kyun bade ho gaye,
Chote the to shehansha the ghar me,
Ab kam hi bakhat hai hamari,
Chote the to sirf khilone tutne ka dar hota tha,
Aaj dil tutne ka dar rehta hai,
Chote the to ghar me hi ghum liya karte the,
Aaj shehar kam padta hai ghumne ko,
Chote the to dar bas maa aur papa ki maar se lagta tha,
Ab bade ho gaye hain to darna bhul gaye hain,
Chote the to maa ki saari baaten maan lete the,
Dar tha ke maa naraaz ho jaayegi to pyaar kaun karega mujhe,
Chote the to ghar se 50 paise lekar pepsi khaya karte the,
Aaj to pata nai kya kya hath lag gaya hai,
Chote the to papa se zid karke khilone kharid'te the,
Aur doston ko naye khilone dikha kar chidate the,
Ab bade ho gaye to chizon ki kadar hi bhul gaye hain,
Pehle kya pehna hai, kaise dikh rahe hain kabhi nai sochte the,
Aaj saala jaise maano in sab me hi duniya basi ho,
Chote the to ghar ki galiyon me cycle lekar jaana shaan ki baat lagti thi,
Aaj saala jeb me 20000 ka mobile chahiye hota hai shaan dikhane ko,
Pehle rote the to pura ghar sir pe utha lete the,
Aaj aansuon ka sailab andhere ki char diwari me hi aata hai,
Pehle bhari dhoop me khelne me bhi maza aata tha,
Ab mobile ke khel khelne me busy hai,
Pehle maa chilla chilla kar ghar me bulati thi,
Aur apne hathon se khana khilati thi,
Ab bas khana kha liya puchna hi kaafi padta hai,
Saala chote the to nawaab the yaar, pyaar, nafrat, irshya, in sab se dur the,
Aaj zindagi maano bas inhi bhavanaon me dubi hui si hai,
Saala bade kab aur kyun ho gaye

No comments:

Post a Comment